AlifKhwab Nama

Khwab mein Asap Ghora Dekhnay Ki Tabeer

Asap

Khwab mein Asap Ghora Dekhnay Ki Tabeer

ghora (horse) dekhnay ki tabeer hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh arbi ghoray ko khawab mein dekhna bazurgi aur izzat aur jaah ki daleel hai.

aur agar dekhe keh arbi ghoray par betha hai aur ghora matee o farmanbardar hai to izzat aur bazurgi ki daleel hai magar usi kay andazay kay mutabiq jis qadar ghora umdah hai.

aur gar koi shakhs khwab mein dekhe keh ghora liya hai, lekin arabi ghora nahi hai, ya kisi ney us ko diya hai aur us par betha hai to sharaf aur bazurgi arbi ghoray ki nisbat km paega aur agar dekhe keh ghoray kay saman mein kami hai, maslan zain ya namd ya lagam nahi hai to daleel hai keh usi qadar bazurgi mein nuqsan hoga.

aur agar dekhe keh dum moti hai aur lambi hai to daleel hai keh usi qadar us ko nokar o chakar hongay aur agar dum kati hoi dekhe to daleel hai keh usi qadar izzat o sharafat mein nuqsan hoga aur agar dekhe keh ghoray ki sath jang ki hai aur ghora ghalib aya hai aur farmanbardar nahi howa hai to yeh gunah aur na farmani ki daleel hai.

Hazrat Muhammad ibn e sireen rahmatullah alahi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh barhana ghoray par behta hai to daleel hai keh us ki museebat aur gunah ziyada hoga, aur agar wo ghora kisi dusray ka hai to ghoray walay ka yehi haal hai jo ham ne bayan kia hai.

aur agar dekhe keh ghora barhana hai to matee hai to sharf aur bazurgi ki daleel hai, aur agar dekha hai keh ghoray par sawar hai aur ghora chat ya deewar par khara hai to daleel hai keh gunah aur maeesat bohat karega.

agar ghoray par beth kar hawa mein uray ya dekhe keh ghoray kay par parinday jesy hain aur urta hai to safar karega aur deen o duniya mein sharafat aur bazurgi panay ki daleel hai.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar apnay aap ko ablaq ghoray par betha howa dekhe to daleel hai keh aisa kaam karega jis par log gawahi dengay aur agar dekhe keh asp siyah par betha howa hai to daleel hai keh aisa kaam karega jis se maal aur sardari paega, aur agar dekhe keh ashq ghoray par sawar hai to darusti deen ki daleel hai aur badshah se izzat dekhega.

agar dekhe keh zard ghoray par betha howa hai to daleel hai keh thori bimari dekhega aur asp samandar ki bhi yehi daleel hai, aur agar dekhe keh asp jurma par sawar hai to khairo salah ki daleel hai aur asp salees par sawar hai to daleel hai keh aurat milegi.

aur agar dekhe keh ghoray se utra hai to daleel hai keh izzat aur martaby se girega, aur agar dekhe keh barhana ghoray se utra hai to daleel hai keh gunah aur maeesat se bachega, aur agar dekhe keh hathiyar laga kar ghoray par behta hai to daleel hai keh sharafat aur martaba bala rukawat paega aur dushmat par fatah mand hoga, aur agar dekhe keh jang kay liye ghoray dorata hai to daleel hai keh us say gunah hoga aur ghora doranay ki qadar par dehshat aur khauf dekhega, aur ghoray par beth kar masjid ki taraf gia hai to daleel hai keh us mein kisi tarah ki khair nahin hai, lekin agar ghora wahan se bahir laye to khair hai.

aur agar dekhe keh ghora kalelen bharta hai to daleel hai keh maal o dolat paega aur agar ghoray ko apnay sath baten karta dekhe to daleel hai keh aisa kaam karega keh jis se log hairan hongay aur agar dekhe keh baigana ghora us kay ghar ya kocha mein aya hai to daleel hai keh koi shareef admi us kay ghar ya kocha mein aya hai aur ghoray ki qadro qeemat kay mutabiq muqam karega aur agar dekhe keh ghora us kay kocha se bahir giya hai to daleel hai keh koi mard shareef aur namadar us kocha mein se ghaib hoga ya marega.

Hazrat jabar rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us ne asp madiyan li hain ya us ko kisi ne di hain to daleel hai keh barkat wali aurat milegi aur agar siyah ghori dekhi hai to daleel hai keh wo aurat shareef aur namadarna hogi,

aur agar dekhe keh ablaq ghori hai to daleel hai keh aurat kay maan baap aik nasal se na hongay aur agar wo ghori jurma hai to daleel hai keh wo aurat khoob soorat aur bajamal hogi, aur agar dekhe keh ghori sabaz rang ki hai to daleel hai keh wo aurat deendar aur parhaizgar hogi, aur agar ashqar ghori hai to daleel hai keh wo aurat azeez aur sahib martaba hogi, aur agar kamyat kameet hai to wo aurat maashar aur tarb dost hogi, aur agar dekhe keh wo ghori bacha wali hai to daleel hai keh us aurat kay han farzand bhi hoga aur agar ghori kay sath pacheeri hai to wo aurat larki wali hogi.

aur agar khwab mein dekhe keh ghoray ka goshat khata hai to daleel hai keh badshah us ka khwastagar hoga aur apna masahib banaega aur agar dekhe keh kisi kay peechay ghoray par betha howa hai ya us kay peechay koi betha hai to peechay bethnay wala agay bethnay waly kay tabey farman hoga.

aur agar dekhe keh bohat say ghoray us kay ghar ya kocha kay gird jama hain to daleel hai keh us jaga mein barish kasrat se hogi aur sailab aega.

Hazrat ismaeel ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh asp rahwar par behta hai to daleel hai keh aik aurat ki salah se maal dar aurat milegi aur agar ehl nahi hai to aisi aurat ki masahbat karega aur phir darust ho jaega.

aur agar dekhe keh us kay ghoray ka kaan kata howa hai to daleel hai keh sardaron ka paigham us se kat jaega aur agar dekhe keh ghora sar kay bal gira aur phir utha hai to daleel hai keh us kay kaam mein pehly khalal parega aur phir darust ho jaega.

aur agar dekhe keh kisi ne us kay ghoray ko charaya hai, khof hai keh us ka ayal halak hoga aur agar dekhe keh us ka ghora gum ho giya hai to daleel hai keh aurat ko talaq dega.

aur agar dekhe keh apnay ghoray ko farokhat kar diya hai to daleel hai keh us ki izzat o marta kam hoga ya us say ayaal juda hoga aur agar dekhe keh ghoray par ulta betha hai to daleel hai keh us ka kaam kharab hoga aur u sko zarar aur malamat hasil hogi.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein ghora apnay nafs ki khawaish ko dekhna hai aur agar apnay ghoray ko dekhe keh sarkash hai to daleel hai keh us ki khawaish nafs sar kash hogai aur agar dekhe keh us ka ghora matee o farmanbardar hai to daleel hai keh us ki khawaish nafs nahayat sakht hai.

aur ghoray kay jism par har aik azu kay upar badshai ka nashan hota hai aur agar badshah kay khoon ko ghoray par dekhe to izzat aur rafat ki daleel hai, amoor aam logon ka khwab mein dekhna izzat aur bakht ki daleel hai, aur agar dekhe keh namaloom ghora muhallay se nikla hai to daleel hai keh muhallay kay bazurgon se koi shakhs duniya se kooch karega.

Khwab mein Asap Ghora Dekhnay Ki Tabeer

Hazrat khalid asfahani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein palaan wala ghora mard ka naseeb hai, jis qadar palaani ghora matee o farmanbardar hoga, usi qadar naseeb matee aur farmanbardar hoga, aur dekhe keh palaan shehar ya gaon ya sarae mein giya hai to daleel hai keh mard masafar ajmi us jaga aega.

aur agar dekhe keh daraz dam ghoray par betha hai to daleel hai keh asp ki dum aur sim ki darazi kay barabar us kay tabedar hongay, aur agar us kay khilaf dekhe to daleel hai keh us ka haal bad hoga aur aish us par tang hoga.

Khwab mein Asap Ghora Dekhnay Ki Tabeer

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein ghoray ka dekhna panch (5) waja par hai. Awwal: Izzat, Doom: Martaba, Soom: Hakoomat, Chaharam: Bazurgi, Panjam: Khairo Barkat.

Agar khwab mein dekhe keh us kay ghoray par bandar betha howa hai to daleel hai keh yahodi us ki aurat kay sath fasad karta hai aur agar dekhe keh kutta (dog) us kay ghoray par betha hai to daleel hai koi aatish parast us ki aurat kay sath fasad karta hai. tafsir al ahlam

Leave a Reply

Back to top button