AlifKhwab Nama

Khwab mein Arzaiz Dekhnay Ki Tabeer

Arzaiz

Khwab mein Arzaiz Seesa Qali Dekhnay Ki Tabeer

Hazrat ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh us kay pass bohat sa seesa hai to daleel hai keh usi qadar duniya ka samaan hasil karega aur jo bartanon kay niche hota hai, jesay piyala aur thaal wagera, aur janta hai keh us ki mulk hai to daleel hai keh us qadar nokar chakar paega.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe ke seesay ko galata hai to daleel hai keh log us ki badi karengy.

Hazrat Jafar razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein seesa dekhna teen waja par hai, Awwal: Nafa, Doom: Khidmat Gar, Soom: Ghar ka asbaab.

Leave a Reply

Back to top button