AlifKhwab Nama

Khwab mein Angashtari Dekhnay Ki Tabeer

Angashtari

Khwab mein Angashtari Dekhnay Ki Tabeer

angothi dekhne ki tabeer hazrat daniyal alaihissalam ne famaya hai keh agar koi shakhs khwab mein angothi ki sift aur naqsh dekhe to daleel hai keh us ko us kay aaqa se khair aur naiki pohanchegi, aur agar dekhe keh us ko kisi ne angothi muhar karne ke liye di hai to daleel hai keh jo kuch us kay laiq hai, bohat paega. yani angothi ki qadro qimat kay mutabiq agar badshahi kay laiq hai to badshah hoga, na maal o dolat paega aur agar dekhe keh masjid mein ya namaz mein ya jahd mein kisi nay us ko angothi di hai to daleel hai keh wo shakhs abid aur zahid hoga. agar sodagar hai to tajarat mein nafa paega.

aur agar dekhe keh us ko badshah ne angothi di hai to daleel hai keh us ko mulk mein se badshah kuch dega ya badshah ko mulk mein us ko ya us kay khwaishon ko burai pohanchegi.

hazrat ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khwab mein dekhe keh us ki angothi zaya hoi ya koi chease chura kar le gia hai to daleel hai keh us kay kamon mein afat ya dushwari zahir hogi, aur agar dekhe keh angothi tooti aur us ka nagina raha to daleel hai keh us ki bazurgi behtar hogi aur us ki aabro aur waqar qaim rahega. aur agar dkehe keh us nay apni angothi kisi ko bakhshi hai to daleel hai keh apni mulk mein se jo kuch maal o dolat rakhta hai, us mein say kuch kisi ko bakhshega. aur agar dekhe keh apni angothi farokhat ki aur us ki qimat li hai to daleel hai keh jo kuch us kay pass hai farokhat karega aur agar qimat nahi li hia to kuch hissa jaidad ka farokhat karega.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khwab mein dekha hai keh us ki angothi ki sakht na pasandidah hai to daleel hai keh us kay maal ko kuch hoga aur badshah us par gussa karega aur agar chandi ki angothi dekhe to daleel hai keh us ka maal halal ka hai. aur agar sonay ki angothi dekhe to daleel hai keh us ka maal makroh aur haram hai, aur agar aahan ki angothi dekhe to jo kuch us ka y pass hai thora aur zaleel hai. aur agar angothi saat dhaat ya sapaid qali ki dekhi hai to maal kay thoray honay ki daleel hai. aura gar khwab mein dekhe keh us ki angothi deo lay gia hai to us khwab ki tabeer sab se buri hai.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh us ki angothi lohay ki hai to daleel hai keh quwat aur tawanai paega. aur agar tanbay ya raang ki hai to daleel hai keh bay asal logon se faida uthaega. aur agar bloor ki angothi dekhe to daleel hai keh aam logon se us ko kuch milega aur agar chandi ki angothi dekhe to us ko kahin se kuch milega. aur agar dekhe keh us nay apni angothi kisi kay pass amanat rakhi hai ya bakhash di hai aur us nay bhi us ko angothi wapis di hai to daleel hai keh nikah kay liye aurat chahega aur qabool na karega aur na hi us ko dengy aur agar dekhe keh us nay apni angothi tori hai to daleel hai keh us kay ayaal mein judai paregi.

aur agar dekhe keh us ki angothi kay do naginay hain jo us ko kisi ne dei hai aur dono aik dusray kay mutabiq hain to amar ki daleel hai keh sahib khwab ghulam zadah hai.

aur agar dekhe keh un dono rangon mein say aik gir gia hai to us amar ki daleel hai keh do gunahon mein se aik ki toba ki hai.

aur agar dekhe keh likhay hoye khat par apni angothi se mohar lagai hai to us ki daleel hai keh koi poshida chease us ko milegi, aur agar dekhe keh khulay khat par mohar lagai hai to daleel hai keh koi zahri chease us ko milegi.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein chandi ki angothi ko dekhna char waja par hai. Awwal: Saltanat, Doom: Aurat, Soom: Farzand, Chaharam: Maal o dolat, aur sonay ki angashtari naik hai, aur aurat dekhe keh angothi nag samait zaya ho gai hai to us amar ki daleel hai keh us ka martaba aur izzat giregi ya us ka bacha marega ya maal zaya hoga aur agar hakim hai to mazool hoga, agar aurat aisa khwab dekhe to us ka khawand ya farzand marega.

Leave a Reply

Back to top button