AlifKhwab Nama

Khwab mein Angashtan Ungliyan Dekhnay Ki Tabeer

Angashtan

Khwab mein Angashtan Ungliyan Dekhnay Ki Tabeer

Hazrat ibne sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh dayen hath ki panch angasht namazen hain aur baye hath ki panch angasht farzand aur brother hain.

Baaz ehl e tabeer nay bayan ki hai keh angotha subha ki namaz ki daleel hai aur angasht shahadat namaz zuhar aur angasht darmiyani namaz asar aur us kay sath ki ungali namaz maghrib aur sab se choti angasht namaz isha ki daleel hai.

Agar koi shakhs khwab mein dekhe keh daen hath ki angasht nahi rakhta hai to daleel hai keh us ka farzand ya brother marega aur baaz kehtay hain keh us kay bhatijay par koi sakhat musibat paregi.

Hazrat karmani ramatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh hath ki angasht aapas mein mili hoi nahi hain to tang dasti ki daleel hai aur agar aapas mein mili hoi hian to dlaeel hai keh us kay bhayion aur farzandon ka kaam darust hoga, aur agar unglion ko deewanon ki tarah band kia howa hai to daleel hai keh us kay aur us kay elh e bait ka kaar basta ho jaengy.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh us ka angotha kata howa hai to us amar ki daleel hai keh us ko maal ki quwat hogi.

Aur agar dekhe keh angasht shahadat baridha yani kati hoi hai to us amar ki daleel hai keh farz namazon mein taqseer karta hai, aur agar dekhe keh darmiyan wali ungli kati hoi hai to us amar ki daleel hai keh us kay shehar ka badshah ya raees marega.

Aur agar dekhe keh darmiyan wali ungali kay sath wali ungali kati hoi hai to us amar ki daleel hai keh us kay maal mein nuqsan hoga, aur agar dekhe keh us ki changiyan kati hoi hai to us amar ki daleel hai keh us ka farzand zada marega.

Hazrat ismaeel ashat rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh paon ki unglaion ko khwab mein dekhna zeenat aur araish ki daleel hai, aur agar paon ki unglaion ko sakhat aur qawi dekhe to daleel hai keh us ki shadi hogi aur us kay khalaf dekhe to us ka kaam bhi na hoga aur agar dekhe keh us kay angasht pa ko afat pohanchi hai keh chal nahi sakta hai to daleel hai keh us ko maal janay ki waja se sakhat ranj pohanchega aur agar hath paon ki ungalion ko toota howa dekhe to daleel hai keh us ka kaam kharab hoga.

Hazrat jafar sadiq rahmatullah alaihi ne farmyaha hai keh khwab mein unglaion ka dekhna chay 6 waja par hai, Awwal: Farzand, Doom: Bhatijay, Soom: Nokar, Chaharam: Dost, Panjam: Quwat, Shisham: Panj Namaz.

agar koi shakhs khwab mein dekhe keh us ki ungliyan gir gai hain ya cut gai hain to daleel hai keh khwaishon aur ehal e bait se judai hogi aur wo khud bhi pareshan hongay aur agar dekhe keh us ki ungali tooti hoi hai to us amar ki daleel hai keh us kay ehal e khana mein se koi marega.

Hazrat khalf asfahani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi khwab mein koi shakhs dekhe keh us kay anguthay se doodh nikalta hai ya us ki angasht shahadat se doodh nikalta hai to daleel hai keh wo shakhs apni saas se jhagra karega, aur agar khwab mein dekhe keh us ki angashat se awaaz aati hai to us amar ki daleel hai keh us kay khwaishon mein guftagu hogi.

Leave a Reply

Back to top button