AlifKhwab Nama

Khwab mein Aawaz Buland Dekhnay Ki Tabeer

awaz

Khwab Mein Awaz buland dekhnay ki tabeer,

Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ni farmaya hai keh agar mard ki awaz khwab mein buland hai to daleel hai keh logon mein buzurgi paega aur agar dekhe keh us ki awaz buland ho gai thi to yeh us ki bulandi qadar ki daleel hai keh us ka naam aur awaz buland hogi, aur agar dekhe keh us ki awaz kamzoor ho gai thi to daleel hai keh us ka naam aur awaz zaeef hogi, chunancha koi us ko yaad na karega.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein awaz ki bulandi mardon kay liye buzurgi aur bulandi ka naam daleel hai aur aurton kay liye khwab mein awaz buland ka dekhna bura hai.

Leave a Reply

Back to top button