AlifKhwab Nama

Khwab mein Aahoo Dekhnay Ki Tabeer

Aahoo

Khwab Mein Haran Dekhne Ki Tabeer

Hazrat Karmani Rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh haran ko pakra hai to daleel hai keh khubsoorat kaneez hasil karega.

agar us ne dekha hai keh us ne haran kay galay ko kata hai to daleel hai keh doshiza dakhtar hasil hogi aur agar dekhe keh haran ka pichay se gala kata hai to daleel hai keh kaneez kay sath khilaf shariyat jamaa karega, aur agar dekhe keh haran ka chamra utara hai to daleel hai keh ghareeb aurat kay sath zana karega, aur agar dekhe keh haran ka chamra khaya hai to daleel hai keh us ko khubsoorat aur milegi aur agar dekhe keh haran ka chamra ya goshat ya charbi khata hai ya us ki taraf wapis aai hai to daleel hai keh us ko maaldar aurat milegi aur agar dekhe keh us ne haran ko mara hai to daleel hai keh aurat ki taraf se gham naak hoga.

Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh haran kay pichay gia aur us ko giraya hai to daleel hai keh doshiza aurat ya kaneez hasil karega, aur agar dekhe keh haran ko shikar kay waqt gira lia hai to daleel hai keh maal ghanimat paega aur agar dekhe keh haran ghar mein mar gia hai to daleel hai keh aurat ki taraf se us ko gham o andwah pohanchega aur agar dekhe keh haran ko pathar ya teer se mara hai to daleel hai keh nalaiq baat kahega.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein haran ka dekhna 4 waja par hai. Awwal: Aurat, Doom: Kaneez, Soom: Farzand, Chaharam: Aurton se faida hasil karna.

Leave a Reply

Back to top button