AlifKhwab Nama

Khwab mein Aabginah Kanch Dekhnay Ki Tabeer

Aabginah

Khwab mein Aabginah Kanch Baloor Dekhnay Ki Tabeer,

Hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh khwab mein abgina dekhna aurat hai, agar dekhe keh abgina mein pani piya hai to daleel hai keh aurat aur maal paega aur agar dekhe keh abgina shisha mein kisi ko sharbat diya hai to daleel hai keh kisi se aurat milegi.

Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai, agar khwab mein dekhe keh us kay pass abgina tha jo gir kar toot gia hai agar aurat rakhta hai talaq dega, warna us kay azizon mein se koi aurat maregi aur abgina bananay wala bamanzala khudawand gaar ka hota hai aur baaz tabeer biyan karne walay kehtay hain keh khwab mein abgina bnanay wala aurton ka kaam karta hai aur hamesha aurton ki sohbat mein rehta hai.

Leave a Reply

Back to top button