AlifKhwab Nama

Khwab mein Aab Yani Pani Dekhany Ki Tabeer

Aab

aab yani khwab mein pani dekhne ki tabeer online,

tamaam chison ki zindagi pani se hai, hazrat ibn e sereen ne farmaya hai, agar koi khwab dekhe keh wo satah aab par pani ki tarah chalta hai jesy darya aur nehar ka pani, yeh us kay pak aetaqaad aur quwat emani ki daleel hai, aur agar saaf aur khush gawaar pani bohat piya hai to daleel hai keh us ki umar daraz aur khush aiesh hoga aur agar gandla ya shor pani piya hai to us ki tabeer pehle kay khalaf hai, aur agar dekhe keh darya se saaf aur acha pani peeta hai to daleel hai keh tamaam jahaan ka badshah hoga aur baaz kehte hain keh us aab darya kay pinay kay qadar par buzurgi aur maal o nemat hasil karega agar pani masaffan aur saaf hai aur agar gandla hai to us ko ranj aur sakhti aur khof aur dehshat pohanchegi,

hazrat kirmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai agar dekhe keh pani garam pita hai to bimari aur ranj ki daleel hai aur agar dekhe keh us par pani garam giraya gia hai aur us ko khabar nahi hai to daleel hai keh bimar hoga ya us ko sakhat gham pohanchega aur agar dekhe keh pani mein gira hai to daleel hai keh rang aur gham mein girftar hoga aur agar pani piyalay mein uthayae to daleel hai keh mal aur zindagi par farifta hoga aur agar kanch keh piyalay mein apni aurat ko pani dia aur kanch kay piyalay ko aurton kay johar kay sath nisbat detay hain aur pani jo kanch kay piyalay mein hai us ko farzand kay sath nisbat dete hain jo maa kay pait mein hai agar piyala toota howa hai, to biwi maregi aur bacha rahega, agar pani gira aur piyala khali raha to daleel hai keh bacha marega aur aurat bach rahegi, aur agar dekha keh bay waja logon ko pani deta hai to daleel hai kay duniya aur akhrat mein logon ko us say faida pohanchega aur weran jaga ko abad karega.

aur agar khwab mein dekhe keh jis ghar mein pani giraya howa tha us kay andar dakhil howa hai to daleel hai keh ghamgeen aur mutfikar hoga aur agar dekhe keh piyalay kay saaf pani ko kuttay ki tarah piya hai to daleel hai kay aish aur ishrat se zindagi guzarega, lekin aisa kaam karega keh bila aur fitna mein parega aur maal ko thora thora kar kay logon ko bakhshega aur khairat mein kharch karega.

hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar pani ko waqat par ziada hotay dekhe to daleel hai keh us saal mein naimat ki farakhi hogi aur agar pani dekhe aur zameen mein jazab ho jae to daleel hai key aam logon ko salamti ki afiyat hasil hogi, aur dekhe keh pani logon kay saron par charha jata hai, toh daleel hai keh us saal us mulk mein naimat aur farakhi hogi.

agar dekhe keh us ghar mein saaf pani hai to daleel hai keh naimat aur khush aishi paega aur agar dekhe keh ghar mein gadlay pani par kharaa hai to phir us ki taveel pehly kay khilaf hai.

hazrat daniyal alihissalam ne farmaya hai keh baag aur zaraat ko daryaon aur nehron se pani dena gham aur andwah se khalasi aur maal ki daleel hai aur logon ko pani dena deen aur dianat aur naik kamon ki daleel hai aur agar dekhe keh pani mein jata hai aur us waqat us ka jisam mazboot hai keh hakim ki taraf se kisi sakht kaam mein mashghool hoga aur us ka qoul us kaam mein aur dusray kamon mein maqbool hoga aur agar saaf pani mein jae aur us ka jisam chup jae to quwat deen aur tawakal barkhuda aur astaqamat ki daleel hai aur agar dekhe keh pani baag main jata hai, aurat ya goli milne ki daleel hai aur agar apne upar saaf pani ko girta dekhe to daleel hai keh us se khair o manfat pohanchegi aur agar dekhe keh us par galda pani giraya hai to us se nuqsan panay ki daleel hai.

hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab kay andar pani mein janay ki tabeer panch waja par btatay hain.
awal yaqeen, dom quwat, som mushkil kaam, chaharam masahbat, panjam rais shehar ki taraf se koi kaam, yaad rakho keh tabeer baraan haraf bay mein biyan karengay aur aab chashma, aab chah aur aab joye haraf jeem mein biyan karengy aur aab dariya haraf daal mein aur aab raod haraf fay mein aur aab ka raiz haraf kaaf mein, isi tarteeb par dusray khwabon ko har aik chease ki tarteeb par us ki jaga par zikar karengy.

2 Comments

  1. Assalamualaykum.

    Hazrat me khaab ne dekha ke mere bache nadi me he aur pani gahera bhi nahi he lekin jis aadmi ko mene unko bahar lene bheja usne mere bacho ki majak ki aur mere dono bache darke gahere pani me bhag ke chale gaye aur chilla ke muje madad ke liye bulate rahe to is khwab ki tabeer kya hogi.

Leave a Reply

Back to top button