AlifKhwab Nama

Khwab mein Urna Dekhnay Ki Tabeer

Parwaz-Kardan

Khwab mein Urna Dekhnay Ki Tabeer

parwaz kardan yani urna khawab mein hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh parinday ki tarah jaga ba jaga urta hai to daleel hai keh bulandi kay mutabiq safar ko jae aur zameen mein se urna martaba aur sharf ka pana hai.

aur agar dekhe keh sidha asmaan ko jata hai to yeh nuqsan ki daleel hai aur agar dekhe keh hawa mein us qadar urta hai keh aasman par ja pohanchata hai aur us mein gum ho gia hai, aur phir zameen par nahin aya hai to daleel hai keh wo dunia se bohat jaldi rahlat karega yani marega.

hazrat Muhammad bin sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe keh qibla ki janib se ura hai aur phir apni jaga par aya hai to daleel hai keh safar se jaldi wapis aega aur bohat sa nafa uthaega khaas kar agar par bhi rakhta hai aur agar bagair par k urta hai deo daleel hai keh apni halat se phirega aur agar dekhe keh apnay bala khanay se dusray bala khanay par ura hai to daleel hai keh aurat ko talaq de kar dusri aurat karega ya kaneez ko kharidega.

hazrat ibrahim karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi dekhe keh lagam kay sath aasman par ura hai to hajj ki daleel hai aur agar dekhe keh apnay ghar se kisi namaloom ghar ki taraf ura hai to daleel hai keh us ki maot qareeb aai hai, us ko chahiye keh gunahon se toba kare, aur agar dekhe keh par rakhta hai lekin parindon kay paron kay bar khilaf hain, to daleel hai keh bimar ho kar qareeb ba halakat hoga aur aakhir kaar shafa paega, aur agar dekhe keh aik jaga se dusri jaga urta hai to daleel hai keh anqareeb safar karega.

hazrat jafar sadiq razi Allah hu anha nay farmaya hai keh khawab mein urna panch waja par hai, Awwal: saraf, Doom: Hajj, Soom: bazurgi, Chaharam: Tageer haal, Panjam: marzulmaot panah bakhuda.

Leave a Reply

Back to top button