AlifKhwab Nama

Khwab mein Ullu Dekhnay Ki Tabeer

Ullu

Khwab mein Ullu Aqaab jesa parinda Dekhnay Ki Tabeer,

ullo yani owl aik aqaab jesa shikari parindah hai, hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh owl khwab mein badshah qawi ya haibat aur satmgar hai keh har aik us se darta hai aur agar dekhe keh us nay khwab mein ulll yani owl ko pakra hai ya us ko kisi ne diya hai aur farmanbardar aur matee hai to daleel hai, keh badshah ka khaas maqrab hoga aur agar dekhe keh ullo yani owl nay us ko pakra aur hawa mein le gia hai to daleel hai keh badshah kay hukam se safar karega aur bazurgi aur naam paega.

Hazrat ibn e sirin ramhatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh ullo yani owl kisi kocha me utra hai to daleel hai keh badshah us kay kocha mein aega aur agar dekhe keh logon ne ullo yani owl ko mar dala hai to daleel hai keh badshah marega aur badshah mazool hoga, aur agar dekhe keh us ko ullo ne pakra hai to daleel hai keh badshah ki panah mein hoga aur agar dekhe keh ullo ne monh se koi chease nikaal kar us ko di hai keh usi qadar badshah se atta aur bakhshish paega aur agar dekhe keh ullo yani owl us kay hath se uda hai, dhaga ya koi aur chease us kay hath mein reh gai hai to daleel hai keh badshah us par gussa hoga aur apnay say us ko door karega aur us ka kuch maal lega.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs dekhe keh ullo yani owl se shakar pakarta hai to daleel hai keh badshah ka maal aur khazana us kay tasraf mein aega aur agar dekhe keh ullo yani owl ne us ko chonch ya panje se mara hai to daleel hai keh us ko badshah se zehmat aur bala pohanchegi aur us ka maal zabat hoga aur agar dekhe keh ullo yani owl se jang o pikar karta hai to daleel hai keh us ko badshah se jang o khasomat hogi aur agar dekhe keh ullo yani owl ko khaya hai ya us kay par nochay hain to daleel hai keh usi qadar badshah se maal o naimat paega aur agar dekhe keh ullo yani owl us kay sar par ya chehray par betha hai to daleel hai keh us kay larka aega aur badshah hoga.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh ullo yani owl khwab mein dekhna 2 waja par hai, Awwal: badshah zalim, sitamgar aur khonkhwar, Doom: aalim bad diyanat aur makkar, baaz nay kaha hai keh agar koi khwab mein dekhe keh ullo us kay pass hai to daleel hai keh us ki umar daraz hogi.

One Comment

  1. AoA…
    Mny khaab mn dkha ha k aik admi din ki roshni mn uper chat par aya ha or us k hath mn pinjra h js mn 3 parindy hn r 2 kaaly siyah rang k parindy hn un mn sy aik parinda nikala h or jb us ny apny par kholy hn to par boht bary hn r jb mny parindy ka chehra dkha h to wo ullu h or chat par mn r mry Papa hn. R phr us kaly siyah ullu ki chonch Papa ny bandhi h or us ko zibah kr dea h.
    Mjhy is ki taber btaey boht shukrya.

Leave a Reply

Back to top button