AlifKhwab Nama

Khwab mein Andakhtan Mardam Dekhnay Ki Tabeer

Andakhtan-Mardam

Khwab mein Andakhtan Mardam Kisi Ko Girana Dekhnay Ki Tabeer,

Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khwab mein dekhe keh us ne kisi ko giraya hai to daleel hai keh dushman us se hairan hoga, aur agar dekhe keh us ne kisi par pathar phenka hai to daleel hai keh kisi ko sakht baat kahega, baaz ehle tabeer ne bayan farmaya hai keh us ki daleel yeh hai keh us ko zana ya gunah ki tohmat log lagaengy aur agar koi dekhe keh thikri dali hai to us se bhi yehi daleel hai, keh kisi ko sakht baat kahega.

aur ehle tabeer farmatay hain keh agar koi shakhas khwab mein dekhe keh us par kisi ne shakar, badam ya qand ko dala hai, agar dalnay wala hai to us se usi qadar ata paega aur agar na maloom hai to usi qadar kisi se faida uthaega, aur agar us ne bhi khanay ki cheasen jo paon ki taraf dali hain to us se yeh daleel hai keh apna maal jahlon ko dega.

Leave a Reply

Back to top button