AlifKhwab Nama

Khwab mein Aftadan Girna Dekhnay Ki Tabeer

Aftadan

Khwab mein Aftadan Girna Dekhnay Ki Tabeer

girna khwab mein hazrat ibn e sereen ramatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh mon kay bal gira hai to pareshani ki daleel hai, khas kar agar wo jang aur khasomat mein hai aur agar dekhe keh kisi jaga se nichay gira hai, maslan pahar ya khana ya deewar se, to us amar ki daleel hai keh us ki arzo aur murad pori na hogi.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi khawab mein dekhe keh kisi jaga se nichay gira hai to daleel hai keh umeed puri na hogi aur agar pahaar se nichay giray to daleel hai keh girnay kay mutabiq haal hoga aur us kay jisam ko dukh pohanchega, aur agar dekhe keh us ko sakht zakham pohancha hai aur kisi azu say khoon nikla hai to daleel hai keh us kay zakham kay mutabiq nuqsan pohanchega.

aur agar dekhe keh paon phisla hai aur gir gia hai to daleel hai keh us ko ranj aur takleef pohanchegi, aur agar deke keh gira hai aur us ko takleef nahi hoi hai to yeh asani aur saholat ki daleel hai.

agar koi sahib khawab dekhe keh us kay ghar kay astany se saanp snap bichoo aur dusray kantay waly janwar giray hain to us amar ki daleel hai keh us ko badshah se ya kisi hakim se gham o andwah pohanchega.

aur agar dekhe keh bala khana ya deewar us par giri hai to daleel hai keh us ko maal aisi jaga se milega keh jahan se umeed na thi, aur us waja se bara khuram o shadan hoga aur us ka kaam kushada hoga, aur Allah Tala hi behtari ko khoob janta hai.

Leave a Reply

Back to top button