AlifKhwab Nama

Khwab mein Aeri Paon Ki Dekhnay Ki Tabeer

Pashnapaaye

Khwab mein Aeri Paon Ki Dekhnay Ki Tabeer

erhi dekhna hazrat imam ibne sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein paon ki erhi karobar kay intezam aur admi ki kamai par daleel hai, agar dekhe keh us ki erhi toot gai hai to daleel hai keh aisy kaam mein mashghool hoga, ke jis mein pasehmani uthaega, aur agar dekhe keh us kay paon ki erhi charh gai hai ya zakhmi ho gai hai, us ki bhi wohi taveel hai, lekin pehly ki nisbat nidamat km hogi.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh us nay paon ki erhi kati, aur khai hai aur darindon ko di hai to daleel hai keh jo kuch kamaega khaega aur dushmanon ko dega, aur agar dekhe keh us ki erhi giri hai to daleel hai keh bay kar aur darwaish hoga.

Leave a Reply

Back to top button