AlifKhwab Nama

Khwab mein Abar Dekhnay Ki Tabeer

Abar

Khwab mein Abar Yani Badal Dekhnay Ki Tabeer,

Hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh badal khwab mein dekhna chay waja par hai, Awwal: abbar safaid, Doom: abbar siyah, Soom: abbar zard, Chaharam: abbar surakh, Panjam: abbar barsanay wala, Shisham: abbar na barsanay wala, aur har aik ki tabeer khaas hai.

agar koi khwab mein apnay aap ko abar safaid barsane walay ko nichay dekhe to daleel hai keh khuda tala us ko eilm o hikmat anayat farmaega aur logon ko us kay eilm o hikmat se faida hoga.

aur agar dekhe keh abbar zawar kay niche hai to daleel hai keh bimar hoga aur baaz tabeer biyan karne waly kehtay hain keh aurat paega jis se ranj o gham uthaega.

aur agar apnay aap ko surkh badal kay niche dekhe to mehnat aur bala aur girfatari ki daleel hai, kion keh Allah Tala ne jis qoum par azab bheja hai pehly se us par surkh abar zahir howa hai.

aur agar dekhe keh badal sihda us kay sar khara ho gia hai, to us amar ki daleel hai keh hakomat paega, aur agar dekhe keh abar us kay sar par se guzar gia hai, to daleel hai keh us ki sohbat kisi naik shakhs aur ehal martaba se hogi aur us ki murad us se hasil hogi.

Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh badal ko hawa mein chalata hai to daleel hai keh wo almon aur hakmon ki sohbat mein rahega aur yeh khwab badshah dekhe to daleel hai keh apni walayat mein qasidan ba khabar ko bhejega aur agar khwab mein badal ko hawa mein se pakar kar zameen par le aya hai, to daleel hai keh naiki aur buzurgi aur eilm hasil karega.

aur agar dekhe keh badal us kay sar par saya karta hai to daleel hai keh us saal khair aur naimat paega.

aur agar dekhe keh badal mein kapra siyah howa hai aur us ne pehna hai to daleel hai keh itna eilm usay hasil hoga jo kisi ko na hoga, aur agar dekhe keh abar nay tamam jahan ko dhanpa hai aur barsa nahi hai to yeh buri daleel hai.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh badal ko jama kiya ya uthaya ya dikhaya to us amar ki daleel hai keh wo hukma mein aqal o danish se mumtaz hoga.

Hazrat jabar maghrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh abar ko kha raha hai to daleel hai keh us ki zindagi hikmat se hogi aur agar dekhe keh abar siyah aik jaga par ghara howa hai to yeh us mulk par haq tala kay azab ki daleel hai, jis ko abar kay nazdeek dekhega, wo azab haq kay nazdeek hoga aur agar abar kay sath barish ko dekhe to daleel rehmat aur khairat ki hai.

aur agar dekhe keh badal se barish ko pita hai to daleel hai keh usi qadar rehmat aur naiki dekhega aur agar badal kay sath barish aur sakhat karak hai to yeh maan baap aur musalmanon ki dua se darny ki daleel hai aur agar karak kay sath bijli dekhe to yeh sakhat qawi azabon ki daleel hai, aur agar apnay ghar aur jaga par abar chaya howa dekhe to daleel hai keh us kay farzand aur ehal bait ko badal ki tangi aur tariki kay andazay par danish aur hikmat hasil hogi.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha nay farmaya hai keh badal khwab mein dekhna no waja par hai, Awwal: Hikmat, Doom: Riyasat, Soom: Badshahi, Chaharam: Rehmat, Panjam: Parhaizgari, Shisham: Azab, Haftam: Qehat, Hashtam: Bala, Naham: Fitna.

Leave a Reply

Back to top button