AlifKhwab Nama

Khwab mein Aatish Afrokhtan Dekhnay Ki Tabeer

Aatish-Afrokhtan

Khwab mein Aatish Afrokhtan Aag ka roshan karna Dekhnay Ki Tabeer

Khwab mein Aatish Afrokhtan Dekhnay Ki Tabeer Hazrat ibn e sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein aag ka roshan karna badshah ki quwat hai aur baghair dhuwen kay aag aur ziada quwat hai, aur dhuwen wali aag badshah kay zulam aur gham o andwah aur nuqsan par daleel hai.

agar garam honey kay luye aag roshan ki ya koi aur garam ho to daleel hai keh koi chease talab karega aur nafa paega, aur agar dekhe keh bay faida aag roshan ki hai to us amar ki daleel hai keh bay waja larai aur jhagra karega, agar koi chease 1 baryan karne kay liye aag roshan ki hai to daleel hai keh logon ki gheebat kay liye koi kaam karega, ta k kisi ka haal maloom ho aur us bhani hoi chease ko khaye to daleel hai keh us qadar rozi us ko gham o andwah kay sath milegi aur agar dekhe keh daig kay niche aag ko roshan karta hai aur us mein goshat ya koi aur chease hai to daleel hai keh koi kaam karega keh jis se sahib khana ko faida pohanchega aur agar us daig mein koi khanay ki chease nahi hai to us amar ki daleel hai keh us kaam se andwah aur gham hoga, agar roshani kay liye aag jalai hai to daleel hai keh kaam ko hujjat aur daleel se karega aur agar halwa banany kay liye aag ko roshan kia hai to daleel hai keh us ko naik baat kahengay.

Hazrat ibrahim karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh kisi jaga ko jalany kay liye aag ko roshan kiya hai to daleel hai keh ehl e moza ki badi aur ghibat karega aur agar dekhe aag ko baghair khanay pakany kay tanoor ya atishdan mein roshan kare to daleel hai keh wo apny khawaishon aur ehale bait kay sath larega aur agar dekhe keh apnay faida kay liye aag roshan karna chahta hai to aag roshan nahi hoi hai to daleel hai keh apnay eilm say faida uthaega aur agar badshah hai to izzat aur martaba aur dolat ziada hogi, agar dekhe keh aag roshan ki hai aur bujh gai hai to yeh us kay halaak honay ki daleel hai.

Hazrat jabar magrabi rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar khawab mein dekhe keh jangal me aag roshan ki hai ta k log us ki roshani say apni jaga par chale jaen, to daleel hai keh log us kay eilm aur hikmat se faida uthaengy aur rahe rast par aengy.

Agar dekhe keh aag kamzoor ho rahi hai aur us ka noor kam ho raha hai to daleel hai keh sahib khwab kay ahwal mutgheer hongay aur duniya se rahlat karega.

Agar khwab mein dekhe keh jangal mein aag roshan ki hai aur rahe rast par roshan nahin hai to daleel hai keh log us kay eilm se gumrah hongay, aur agar sodagar khwab mein dekhe keh us nay kisi moza ko jalany kay liye aag roshan ki hai aur aag nay us ko nahin jalaya hai to daleel hai keh bad diyanti se khareed o farokhat karega aur us ka maal haram hoga aur agar dekhe keh hamsaya kay ghar se aag leta hai to daleel hai keh us ka maal haram pohanchega.

Leave a Reply

Back to top button