AlifKhwab Nama

Khwab mein Aatish Aag Dekhany Ki Tabeer

Aatish

Khwab mein Aatish Aag Fire Dekhany Ki Tabeer

Hazrat Daniyal Alaihissalam ne farmaya hai keh khawab mein aag yani fire bagair dhowen kay dekhe to daleel hai keh badshahi kay qareeb hoga, aur basta kaam puray hongay, aur agar dekhe keh us ko kisi ne aag main gira kar jala dia hai to daleel hai keh badshah us par zulam karega, lekin jaldi khalasi paega aur basharat aur naiki paega.

Agar khwab mein dekhe keh us ko bulaya nahi hai to daleel hai keh karahat kay sath safar karega aur agar aag yani fire ko bharakta howa dekhe to daleel hai keh tap se bimar hoga aur agar dekhe keh aag nay us ka jisam jala dia hai, to daleel hai keh jalan kay mutabaq us ko ranj o nuqsan pohanchega aur agar koi dekhe keh us kay ghar mein aag pari hai aur us kay saray jisam ko jala dia hai aur bharakti hai aur us kay dil heart mein khaof aur dehshat nahi aai hai to daleel hai keh us nay keh us nay mehnat aur museebat kay sabab bimari aur za’af aega, jesay sardi, taoon, aabla aur sarkha wagera, aur agar dekhe keh aag ko pakar lia hai to daleel hai keh usi qadar badshah se maal haram milega, agar dekhe keh aag dhuwen dar hai to daleel hai keh us ko maal haram mehnat aur ranj se milega aur bohat sa jhagra dekhega, agar dekhe keh aag dhunwen dar hai to daleel hai keh us ko maal haram mehnat aur ranj se milega aur bohat sa jhagra dekhega, agar dekhe keh us ko aag se garmi aur tapash pohanchti hai to daleel hai keh koi shahkhas us ki ghibat karta hai.

Hazrat Karmani Rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi khawab mein dekhe keh aag sholay logon par dalta hai to daleel hai keh logon mein adawat aur dushmani dalega aur agar sodagar khawab mein dekhe keh us ki dukan aur saman ko aag lagi hai to us amar ki daleel hai keh us ka saman barbad hoga ya dirham ki cheasen teen dirham mein farokhat karega aur kisi par shafqat na karega.

Agar dekhe keh kisi kay ghar mein aag lagi hai to us amar ki daleel hai keh wo admi jang aur fitna aur badshah kay zulam mein girftar hoga aur agar dekhe keh aag nay us ka kapra jala dia hai to daleel hai keh apnon kay sath larega aur maal kay sabab se ghamnak hoga, agar koi bari aag zameen par dekhe to daleel hai keh us moza par jang aur fitna hoga, aur agar koi jali hoi chease dekhe to daleel hai keh aurton ki waja se kisi kay sath larega, agar dekhe keh kisi shehar ya mahal ya saraae mein aag lagi hai aur sab kuch jala dia hai aur aag shola marti hai aur awaz khofnak deti hai to daleel hai keh us jaga mein kaazar ya sakhat bimari paregi.

Agar dekhe keh aag nay kuch cheasen jala di hain aur kuch chor di hain aur khofnak awaz nahi deti hai to us amar ki daleel hai keh us moza mein larai hogi aur agar sholay roshan nahi hain to sakhat bimari paregi aur agar aag yani fire ko dhonwen kay sath dekhe to daleel hai keh apnay kamon mein dar aur dehshat dekhega aur agar dekhe keh aag asman se giri aur us nay shehar ya mohalla ya sarae ko jala dia hai to us amar ki daleel hai keh us shehar ya jaga par bala aur fitna parega aur agar dekhe keh khof naak awaz thi aur aag shola marti thi lekin jis jaga pari hai sholay nahi mare hain to us amar ki daleel hai keh us jaga zabani jhagra aur fasad hoga.

Agar dekhe keh zameen kay niche se khof naak aag yani fire nikli hai aur aasman ki taraf gai hai to daleel hai keh us jaga kay log Allah tala kay piyaron kay sath us aag ki taqat kay mutabaq jhoot aur bahtan kay sath larai larengay, aur agar dekhe kay aag be tahasha jaga ba jaga jati hai aur aag kuch takleef nahi deti hai to daleel hai keh sahib khawab faida hasil karega aur agar darwaish hai to maldar hoga.

Hazrat ashat rahmatullah alaihi nay farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh aag aasman se barish ki tarah barasti hai to daleel hai keh us jaga par badshahon ki taraf se khoon raizi hogi aur bala aegi aur agar dekhe keh aasman se aag aai aur us nay khany ki cheason ko jala dia hai to daleel hai keh us ki ibadat haq tala kay nazdeek qabool hoi hai.

Agar dekhe keh asman se aag aa rahi hai aur kisi chease ko nahi jalati hai to daleel hai haq tala kay khof ki hai, aur us ko badshah se khof hoga, aur agar dekhe keh bari aag par hai to us amar ki daleel hai keh aik bazurg badshah kay nazdeek hoga aur agar dekhe keh bari aag par hai to us amar ki daleel hai keh aik bazurg badshah kay nazdeeh hoga aur agar dekhe keh koi chease aag par lagata hai keh deen aur duniya ka shughal tamam hoga.

Agar dekhe keh aag zameen par utri aur zameen ki sabzi ko jalati hai to daleel hai keh us mulk mein khudana khwasta nagahani maot bohat aegi aur agar dekhe keh aik bari aag nay qaba ya manarah ko jala diya hai to us amar ki daleel hai keh us jaga ka badshah marega, baaz tabeer bayan karne waly kehtay hain keh agar koi dekhe keh aag zameen se nikal kar roshan hoi hai to daleel hai keh us jaga khazana hoga.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh agar khwab mein dekhe keh aag kay tukray khata hai to us amar ki daleel hai keh yatimon ka maal khata hai.

Agar dekhe keh us kay monh se aag nikalti hai to us amar ki daleel hai keh jhoti baat aur bahtan lagata hai, aur agar dekhe keh har jaga aag jalti hai to daleel hai keh rayat aur badshahi logon mein elchi ka kaam karega aur agar dekhe keh us kay pehlo mein aag roshan hai aur koi nuqsan nahi karti hai to daleel hai keh us ko neki pohanchegi.

agar dekhe keh bari aag lakrion ko jalati hai to fitna aur jang par daleel hai, agar khawab mein dekhe keh aag logon ko jalati hai to daleel hai keh dushmanon par fatah hogi aur agar dekhe keh aag nay us ko jala diya aur us mein roshni na thi to daleel hai keh marz sar e saam se bimar hoga aur agar us aag mein noor dekhe to daleel hai keh us kay khawaishon aur farzand mein se kisi kay yahan bacha aega keh loog us ki tareef karengay aur us noor atish kay barabar bazurgi aur maal paega. aur agar razamgah mein aag dekhe to yeh sakht bimarion ki daleel hai, jesy aabla, taoon, sar e saam, marg nagahani wagera, khudana khawasta. dream dictionary meaning fire

Agar aag ko dhonwen kay sath dekhe to us amar ki daleel hai keh badshah se dar aur khof hoga, aur agar aag ko bazar mein dekhe to yeh bazar walon ki bay deeni ki daleel hai keh bazar walay tajarat mein insaaf nahi karte hain aur kharidi hoi cheason mein jhoot boltay hain aur agar kisi mulk mein aag lagi hoi dekhe to daleel hai keh wahan kay log badshah kay sath larte hain us se ra’aya par zulam hota hai.

Agar na maloom mahinay mein aag dekhe to bay deeni ki daleel hai aur agar kisi kay kapron ko aag lagi hoi dekhe to daleel hai keh us par musibat aur dehshat aur khof parega aur agar apnay aap ko aag par khara howa dekhe to us amar ki daleel hai keh us ko ranj pohanchega.

Leave a Reply

Back to top button