AlifKhwab Nama

Khwab mein Aarah Dekhnay Ki Tabeer

Arrah

Khwab mein Aarah Dekhnay Ki Tabeer

arrah yani aarah dekhna hazrat ibne sereen ramhatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh aaray se darakht ko katta hai to daleel hai keh us mard ki sohbat se keh jis ka us darakht se talluq hai mafarqat karega aur us ko sataega aur har aik darakhat ki taweel haraf daal mein aaegi aur agar dekhe keh apnay larkay ya bhai ya behan ko aaray se cheer kar do tukray kar diya hai to daleel hai keh aisa jesa us kay aur farzand ya bhai ya behan aegi.

hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh agar koi shakhs khawab mein dekhe keh usay arrah mila ya khud kharida ya kisi ne us ko diya hai to us amar ki daleel hai keh agar us kay haan beta hai to aur beta aega aur agar larki rakhta hai to aur larki aaegi aur agar farzand nahi rakhta hai to chahar pae maweshi wagera rakhta hai to us amar ki daleel hai keh misal aur chopae aengy.

Hazrat jafar sadiq razi Allah ho anha ne farmaya hai keh khawab mein arrah yani aarah dekhna teen waja par hai. Awwal: Farzand, Doom: Bhai Ya behan, Soom: Koi Shareek.

Leave a Reply

Back to top button