AlifKhwab Nama

Khwab mein Aarad Aata Dekhnay Ki Tabeer

Aarid

Khwab mein Aarad Aata Dekhnay Ki Tabeer

aard yani aata khawab mein dekhna maal aur naimat halal ki daleel hai jo bagair ranj kay hasil hoga.

Hazrat daniyal alaihissalam ne farmaya hai keh agar dekhe keh aata baraf ki maand howa say aata hai to us amar ki daleel hai keh usi qadar khawab dekhne walay ko maal aur naimat halal hasil hogi, jahan se keh umeed nahin hai.

Hazrat ibne sereen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh aard joo ki tabeer deen hai aur aard tabeer ki tabeer maal o dolat hai, jo tajarat se hasil hogi aur bohat faida hoga, aur bajray ka aata thoray maal ki daleel hai.

Hazrat jabar maghrabi rahmtullah alaihi ne farmaya hai keh khawab mein apnay aap ko aata baichte hoye dekhna apnay deen ko duniya kay badle farokhat karne ki daleel hai.

Leave a Reply

Back to top button