AlifKhwab Nama

Khwab mein Aamas Sojan Dekhnay Ki Tabeer

Aamas

khwab mein amaas sojan dekhna

hazrat ibn e sireen nay farmaya hai keh khwab mein aamas mal hai, aur agar dekhe keh us k jism par aamas zahir hoi hai to daleel hai keh usi qadar mal milega, khas kar agar us aamas mein bohat peep bhi dekhe.

hazrat karmani rahma tulallah alaihi ne farmaya hai keh agar dekhe keh us kay jism par aamas hai, aur takleef hoi hai to daleel hai keh usi qadar halal maal paega aur agar aamas se us ko takleef nahi hai to daleel hai keh haram maal paega.

hazrat jafar sadiq razi Allah anha ne farmaya hai keh khwab mein jism par aamas dekhna 5 waja par hai,

Awwal: maal ziada ho. Doom: aurat faida mand. Soom: larka hoga. Chaharam: murad puri hogi. Panjam: ghamon se aman mein hoga aur agar tamam badan sooja howa dekhe to daleel hai keh us ko yeh 5 cheasen hasil hongi.

Leave a Reply

Back to top button