AlifKhwab Nama

Khwab mein Aabla Dekhne Ki Tabeer

Aabla

Khwab mein Aabla yani hindi chala Dekhne Ki Tabeer,

Hazrat ibn e sirin rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein dekhe keh us kay pass abgina tha, dolat ki ziadti ki daleel hai, agar khwab mein dekhe keh us kay jism par aabla hai to daleel hai keh us kay andazay par us ko maal milega.

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh jisam par aabla khwab mein dekhe to us amar ki daleel hai keh us ko haram milega.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh jisam par aabla ka dekhna panch waja par hai, Awwal: Ziadti maal, Doom: Aurat milegi, Soom: bacha peda hoga, Chaharam: Murad puri hogi, Panjam: agar aabla safaid hai to khof se aman paega.

Leave a Reply

Back to top button