AlifKhwab Nama

Khwab mein Aabistan Dekhnay Ki Tabeer

Aabistan

Khawab mein abistan yani kozah dekhne ki tabeer,

Hazrat ibn e sireen rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein abdast dekhne wala khazana dar sahib tadbeer hoga, keh amdani aur kharch us kay hath mein hoga aur agar dekhe keh badshah nay us ko kozah diya hai to daleel hai keh khazanchi aur badshah aur badshah ka musheer hoga, aur agar kisi ko day to bhi yehi qiyas hai,

Hazrat karmani rahmatullah alaihi ne farmaya hai keh khwab mein kozah bardar khadim hoga,

agar dekhe keh us ka kozah toot gia ya zaya ho gia hai to daleel hai keh us ki aurat juda ho jaegi ya mar jaegi,

agar kozay say apnay aap ko pani peetay dekhe to daleel hai keh us kay haan farzand peda hoga, khasosan jab pani ko saaf aur khush zaiqa dekhe.

Hazrat jafar sadiq razi Allah o anha ne farmaya hai keh khwab mein kozay ka dekhna 5 waja par hai, Awwal: Khadim, Doom: khazanchi, Soom Wazarat, Chaharam: Farzand, Panjam: aisi jaga se thori rozi keh jahan se umeed nahi rakhta hai.

Leave a Reply

Back to top button